|
|
Her ek zakhm ka chehra gulaab jaisa
hai
Magar yeh jagta manzar bhi khuwab
jaisa hai
Yeh talkh talkh sa lehja, yeh tez
tez si baat
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jaisa
hai
Mera sukhn bhi chaman der chaman
shafaq ki phawar
Tera badan bhi mehekte gulaab jaisa
hai
Bara taveel, nihayat hasee?n, bohot
mabhum
Mera sawal tumhare jawaab jaisa hai
Tu zindagi ke haqayeq ki teh main
yoon na uter
Ke is nadi ka bahao chanaab jaisa
hai
Teri nazar hi nahin harf aashnaa
werna
Her ek chehra yahan per kitaab jaisa
hai
Chamak uthe to samandar, bujhe to
rait ki leher
Mere khayal ka darya saraab jaisa
hai
Tere qareeb bhi reh ker na pa
sakoo?n tujh ko
Tere khayal ka jalwa habaab jaisa
hai |