|
|
Ghum Ki Barish Ne Bhee Teray Naqsh
Ko Dhoya Nahin
Tu Nay Mujh Ko Khoo Diya, Mainay
Tujhay Khoya Nahin
Neend Ka Halka Gulabi Saa Khumaar
Ankhon Main Tha
Yuun Laga Jaisay Woh Shab Ko Deir
Tak Sooya Nahin
Har Taraf Dewar O Dar Or Inn Main
Aankhon Ke Hajoom
Keh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab-e
Goyaa Nahin
Jurm Adam Ney Kiya Or Nasl-e-Adam Ko
Sazaa
Kaatt Ta Hoon Zindagi Bhar Jo Mainay
Boyaa Nahin
Jaanta Hoon Ik Aisay Shakhs Ko Main
Bhee
Ghum Se Pathar Ho Gaya Lekin Kabhi
Rooya Nahin |