|
Mujh ko
mujh se juda kiya tu ne.....
Mera ban k ye kiya kiya tu ne........
Mere ansoo bi mujh se cheen liye tu
ne...
Es qadar gham ata kiya tu ne................
Ab talab ki talab nahi mujh mein......
Naqsh-e-fani fana kiya tu ne..........
Chand lamho mein raat khatm hoi....
Subh e Khindaan ye kya kia tu ne...
Teri chahat mein door ja nikla.......
Ma-siwa ma-wara kiya tu ne........
Aj WASIF ne keh diya osko..........
Ba-khuda Baa Khuda kiya tu ne....
|